Blogger Blog me Each & Every Post me Facebook Share or Like Button Kaise Lagaye

Yadi aap apne blogger blog me jyada se jyada visitor pana chahte hai to aapko social media ke upar bhi dhyan dena hoga kyon ki ye dekha gaya hai ki aaj kal jyada tar visitor social media ke madhyam se hi aate hain .To social media matlab Facebook,Twitter,Instagram,Whatsapp etc. Inme se jyada jo use kiya jata hai wo Facebook hai. Facebook ke bahut sare tricks hai jisko  follow karke aap visitors aapne blogger blog ko laa sakte hain. Unme se ek effective method ye hai ki aap facebook share or like button each and every post me daal ke visitors gain kar sakte hain .

Aap facebook share button aapke sabhi post me add karke visitors ko aapke blog ke taraf  attract kar sakte hain bade hi assani se. Iska matlab ye hai for example koi ek visitor aapke blog me aata hai aur kuch valuable cheez padhta hai aur use wo post bahut hi achha lagta hai to use, wo share karna bhi chahega par aapke post me agar  facebook share button hi nahi rahega to wo kaise usi post ko  share karege jo ki  baad me aapke liye visitors layega  .

To aaj ke is article me aapko bataunga kaise aap bade hi assani se blogger blog me  each and every post me facebook share or like button kaise  lagaye .To chaliye shuru karte hai.

Blogger Blog me Each & Every Post me Facebook Share or Like Button Kaise Lagaye


Apne sabhi blogger post me FACEBOOK LIKE AND SHARE BUTTON add karne keliye hame pahle facebook like and share button codes ko developers.facebook.com se copy karke lana hoga. Codes ko lane keliye hame pahle  facebook sharing plugins page me jana hoga jahan aap is link se bhi jaa sakte hain.   LINK{  https://developers.facebook.com/docs/plugins/like-button}

blogger blog me  each and every post me facebook share or like button kaise lagaye

Isi page ko ane ke baad aapko upar diye gaye screenshot jaise ek page dikhai dega.Yahan aap kis type ke Facebook like button aur Facebook share button show karna chahte hai wo aap configure kar sakte hain.Ye aap kaise karenge wo bhi ham aapko bata denge ,

  1. 1.Pahle default Url box me jo kuch likha gya hai  usko aap delete kar de.

  2. 2.Phir aap kis type ke Lay out, Action type,Button size   chahte hain wo bhi select karne ke baad get code par click kar de.


Avi aapke samne kuch codes pop up ho ke aajayenge ( niche diye gaye screenshot aap dekh sakte hain).

blogger blog me  each and every post me facebook share or like button kaise lagaye

 

Abhi aapke pass code hai jo ki aapko aapne blogger blog me add karna hai taki aap facebook like and share button apne blogger blog ke each and every post me  show karwa sakte hain.Yahan aapko  2 codes milenge par hame sabse niche diye gaye codes hi chahiye to usko aap copy kare .Aur sidhe aap apne blogger blog ke template section me chale jayen me chale jayen aur edit template karen.Ek baat aap dhyan rakhe jab kabhi v aap blogger template edit section me jayen ek existing template ka back up rakh len taki kuch gadbad hone se aap bach sakte hain.

Edit template karne ke baad CTRL+F dabake search box me jayen.Aur serach box me <data:post.body/> type karke 2 baar enter dabayen.phir jo  second wala <data:post.body/> ke just below aapko wohi codes paste karne honge jisko hamne facebook developers se copy kiye the then aap SAVE TEMPLATE par click karen.

Baas khatam ho gya hamara kaam abhi aap aapne blogger blog ke kisi v post me jayenge to aapko post ke end me facebook like and share button jarur dekhne ko milengi.

Blogger blog me  each and every post me facebook share or like button kaise lagaye

 

Aaj ke ye post me hamne ye shikha ki Blogger blog me  each and every post me facebook share or like button kaise lagaye .Yadi aapko koi problem hai to comment ke madhyam se jaroor batayen, aur post achhi lage to share jaroor karen dhnyabaad.

Post a Comment

2 Comments


  1. मुझे आपकी वेबसाइट पर लिखा आर्टिकल बहुत पसंद आया, इसी तरह से जानकारी share करते रहियेगा|

    ReplyDelete