Pingback Kya hai ? What is Pingback in Hindi - Blogging Jankari

Hello and welcome back to another informative article on BloggingJankari. Aaj ki Jo topic hai kafi chhoti si topic hai. Lekin, kyunki har chhote se chhota doubt clear karna BloggingJankari par mera makshad hai, isiliye me ise bhi cover kar Raha hoon. Aaj ki topic me hum janenge ki Pingback kya hai, aur Pingback se related kuch basic jankari.


Pingback kya hai ? (Basic Jankari)


Agar aap kisi dusre blog ki article Ko Apne blog se link provide karte hein toh Pingback dusre blog owner ko iske bare me notify karta hai. Basically, trackback aur pingback karib karib same chizen Hein. Sirf kuch minor technical differences hite Hein. Baki Sara kuch same hi rehta hai.

Agar dusre blog me Pingback enabled kiya Gaya hoga toh us blog ke owner ko notification ke through pata chal jayega ki aapne ek link provide kiya hai. Uske baad woh "allow" choose karke aapke dwara provided link ko apne website me appear kara sakte hai. Basically dusre blog me link ka appearance link with excerpt show hota hai. Yeh aapke blog ki theme configuration par depend karta hai.

Ye bhi padhe :

Administration panel par discussion Settings se aap pingbacks Ko allow or disallow kar sakte hein. Agar aap attempt to notify any blogs linked to from the article ko allow karte hein toh jab bhi aap dusre kisi blog Ko link provide karenge toh wordpress dusre blog ki owner ko notify karega ki aapne ek link provide ki hai. In other words, WordPress ek pingback send karta hai. Agar aap "allow link notifications from other blogs (trackbacks and pingbacks ) setting ko check karte hein toh jab bhi koi dusra blogger apke content ko link provide karega, aap ek trackback receive karenge.

Trackbacks aur Pingbacks aap easily admin panel par check kar sakte hein jaha comments bhi appear hote hai. Theme Settings ke jariye individual post me show kara sakte hein, WordPress Settings ke through nahi.

Toh mitron, yeh thi ki Pingback kya hai aur usse related kuch basic Gyan. I Hope aapke liye article helpful rahi hogi. Agar Rahi toh share jarur kare aur Hume social media sites par bhi follow kare.

Dhanyawad..

Post a Comment

3 Comments

  1. vaah sir this is very good information… I like your post. thanks for sharing this useful information…

    ReplyDelete